Adayen Rooth Jaane Ki
in: Urdu Ghazal Poetry
Meri Sab Koshishen Nakaam Thin Us Ko Manane Ki
Kahan Seekhi Hai Zalim Ne Adayen Rooth Jaane Ki
Hazaron Minnaton Par Bhi Khafa Rehta Hai Wo Mujh Se
Wo Youn Chup Hai Qasam Khaai Ho Jaise Muskrane Ki
Main Us Ki Ho Gayi Lekin Wo Mera Ho Nahin Sakta
Khuda Jaane Hawa Kaise Lagi Uss Ko Zamane Ki
Ye Roz-o-Shab Ki Tanhaai Mujhe To Maar Daale Gi
Kahan Fursat Hai Harjai Ko Mere Paas Aane Ki..!!!

About Admin of the Blog:
Usman is the founder of Tarka Pk .He is a SEO Expert, Web Designer and a Pro Blogger. Contact Him Here
0 comments:
Post a Comment